Akash Bankar

Akash Bankar

Share

Contact information, map and directions, contact form, opening hours, services, ratings, photos, videos and announcements from Akash Bankar, Health/Beauty, Trimbakeshwar Road, Nashik.

28/08/2026

🕊️🕊️🕊️

Tum meri zindagi ka woh sabak ho,
jise seekhne ke liye mujhe bahut mehengi qeemat chukani padi.
Tum se maine mohabbat, aetmaad aur apnaniyat ke saath saath yeh bhi seekha ke har woh shakhs jise hum apna samajhte hain, zaroori nahi ke woh humein bhi apna samjhe. Tum ne mujhe toda, khamosh kiya aur bahut kuch mujh se chheen liya, magar isi dard ne mujhe khud ko samajhna aur apni qadr karna sikhaya.Shayad tum meri zindagi ki sab se talkh haqeeqat the, magar tum hi woh sabaq bhi ho jise main umr bhar nahi bhooloon ga .



! david21.9

fashion

18/08/2026

❤️🧿

किसी दिन अचानक बढ़ती हुई बातचीत पर
ज्यादा खुश मत होना, हो सकता है इसके बाद
उस व्यक्ति से आपकी कभी बात ही न हो…!?

Book Name: रेत की मछली
Writer Name: कांता भारती

…………….end…………… chapter close

10/08/2026

Mujhe mazboot nahi banna tha🫂

Mujhe bhi kabhi kisi ke kandhe par sir rakhkar rona tha. Har baar khud ko sambhalna nahi tha. Mujhe bhi kisi ka sukoon banna tha, har waqt apni takleef chhupakar muskurana nahi tha. Lekin zindagi ne shayad mujhe kabhi kamzor hone ki mohlat hi nahi di. Har baar jab laga ki ab kisi ka sahara milega, kisi na kisi mod par log saath chhod gaye. Dheere-dheere maine kisi se umeed karna chhod diya aur khud ko hi apna sahara bana liya.

Logon ne meri khamoshi ko meri taqat samajh liya. Unhe laga ki main har dard seh sakta hoon, har rishte ke tootne ke baad khud ko sambhal sakta hoon aur har mushkil ke baad pehle ki tarah muskura sakta hoon. Magar kisi ne yeh jaanne ki koshish nahi ki ki jo insaan har kisi ko sambhalta hai, use sambhalne wala kaun hai.

Log mere chehre ki muskurahat dekhte hain, meri baatein sunte hain aur samajhte hain ki main theek hoon. Lekin raat ke us sannate ko koi nahi jaanta, jab apne hi kamre mein insaan khud se baatein karte-karte thak jaata hai. Jab aankhon mein aansu hote hain, dil mein hazaaron sawaal hote hain aur phir bhi kisi ko phone karne se pehle yeh sochkar ruk jaata hai ki shayad kisi ko fark hi nahi padega.

Kabhi-kabhi mera bhi mann karta hai ki kisi ke saamne bina kuch samjhaye bas toot jaaun. Koi mere aansu dekhkar sawaal na kare, koi mujhe mazboot banne ki salaah na de. Bas chupchaap mere paas baithkar itna keh de ki, “Ab tumhe sab kuch akele nahi sambhalna hai, main hoon.”

Lekin shayad har kisi ki kismat mein aisa koi nahi hota. Kuch log poori zindagi doosron ke liye mazboot bane rehte hain aur jab raat ko akele hote hain, tab unhe ehsaas hota hai ki unke andar bhi bahut kuch toot chuka hai.

Isliye agar aaj main muskurata hoon, to iska matlab yeh nahi ki mujhe dard nahi hota. Agar main chup rehta hoon, to iska matlab yeh nahi ki mere paas kehne ko kuch nahi. Bas ab aadat ho gayi hai apne dard ko apne tak rakhne ki.

Kyunki mujhe mazboot banna nahi tha… bas haalaat ne mujhe mazboot bana diya.

08/08/2026

Ye Hona bhi jaruri tha ? 🖤

Kabhi kabhi mohabbat ka sabse bada dard judaai nahi..; hoti balki woh umeed hoti hai jo aakhri saans tak dil se jaati hi nahi. Hum har roz khud ko samjhate hain ki sab theek ho jayega lekin kuch rishte waqt ke saath khatam nahi hote sirf khamosh ho jaate hain.Phir bhi unki yaadein har din kisi na kisi bahaane se laut aati hain.Ek gaana ek tasveer ek jagah ya koi choti si baat phir se dil ko usi mod par le aati hai. Shayad isi ka naam sachchi mohabbat hai jahan bhoolne ki hazaar koshishon ke baad bhi duaon mein sirf usi ka naam rehta hai. Aur insaan muskurata zaroor hai magar us muskurahat ke p*eche chhupa hua dard sirf uska dil hi samajhta hai.

03/08/2026

Kya Jana jaruri tha ?

Tum jiske liye itna tadap rahe ho, shayad usse tumhare hone ya na hone se koi farq hi nahi padta.

Tum aaj bhi wahi ruk gaye ho…
Us mod par, jahan woh tumhara haath chhod kar chala gaya tha.

Lekin woh…
Woh apni zindagi mein bahut aage badh chuka hai.
Uski duniya badal chuki hai, uske raaste badal chuke hain.
Aur ek kadwa sach ye bhi hai ki tumhare intezaar karte rehne se woh kabhi wapas nahi aayega.

Isliye…
Ab is intezaar ko chhod do.
Har kisi ki mohabbat mukammal nahi hoti, aur har koi lautkar nahi aata.

Lekin phir bhi…
Aaj bhi dil ke kisi kone mein ek umeed zinda hai.

Kaash…
Ek baar woh laut aaye…
Mujhe gale se laga kar bas itna keh de—

“Meri jaan… tumhara intezaar khatam hua. Main aa gaya hoon… ab kahin nahi jaunga. Bahut akela chhod diya tha tumhe. Ab tumhare har dard ka hisaab main dunga. Ab tum sirf mere ho… aur main tumhe hamesha khush rakhunga. Tumhari aankhon mein dobara kabhi aansu nahi aane dunga.”

Shayad ye sirf ek khwaab hai…
Lekin kuch khwaab aise hote hain jo toot jaane ke baad bhi dil unhe jeena nahi chhodta.

31/07/2026

“Zaalim kya jaane mohabbat kya hoti hai…

“Kabhi kisi ki zindagi ki ‘Priti’ mat banna…

Sabse bada dard sirf kisi ko khona nahi hota.

Sabse bada dard tab hota hai jab tum apne hi mehboob ki aankhon mein kisi aur ke liye mohabbat dekh lo… aur phir usse usi ke saath jaate hue bhi dekhna pade.

Us pal sirf ek rishta nahi tootta, insaan andar se bikhar jaata hai.

Isliye kisi ki zindagi mein tabhi aana jab uska saath nibha sako. Warna adhuri mohabbat, maut se nahi… yaadon se roz maarti hai.


Novel - गुनाहों का देवता
Writer - धर्मवीर भारती
:यह भी पढ़ो।
Novel- ‘रेत की मछली’
Writer- कांता भारती

28/07/2026

🫡🫡🫡

Apni chai sukoon se piyo.Apne pasand ke kapde pehno Agar koi kahe kawwa safed hai
Uska kawwa safed rehne do.Koi kahe sher chai p*eta hai -Toh kaho haan, Aaj subah ki chai maine usi ke saath p*e hai.Har kisi ko safai mat do... Har koi explanation ke kabil nahi.Apni zindagi apne hisaab se jiyo Log toh kuch na kuch kehte rahenge.”

18/07/2026

🫂🧿

:- Bura Waqt Aur Sabr
Zindagi hamesha ek jaisi nahi rehti. Kabhi dhoop hai toh kabhi chhaon. Jab bura waqt aaye, toh sabr ka matlah ye hai ki aap ye yakeen rakhein ki “Ye wagt bhi guzar jayega.” Andheri raat kitni bhi lambi kyun na ho, suraj nikale se nahi rok sakti. Sabr aapko us andhere mein gire nahi deta.
Ye aapko umeed ki kiran dikhata rehta hai. Yaad rakhiye, khuda hamesha sabr karne walon ke saath hota hai.

:- Sabr Ka Phal Meetha Kyun Hota Hai?
Jab hum kisi cheez ke liye intezar karte hain aur mushkilon
se ladte hain, toh hamari rooh “Mature” ho jati hai.
Bina mehnat aur bina intezar ke mili cheez ki hum qadar
nahi karte.
Jo cheez sabr ke baad milti hai, wo humein shukr-guzaar (grateful) banati hai.
Sabr aapko ek behtar insaan banata hai. Ye aapko empathy sikhata hai aur aapki “Willpower” ko lohe ki tarah mazbool kar deta hai.

:-Intezar Ki Khoobsurati
Zindagi mein har cheez ka ok “Perfect Timing” hota hai.
Humein lagta hai hum late ho gaye hain, magar kudrat ke nizam mein sab kuch sahi wagt par ho raha hai, Sabr ka matlab hai kudrat ke us “Timing” par bharosa karna.

14/07/2026

🫂❤️🧿

The Right person always comes late in life.
When they arrive life becomes beautiful
Just like when I met you.

❤️

10/07/2026

~ 🧿❤️🫂

Agar kabhi tumhein woh na milay jis se tumhein
mohabbat ho, toh tum dua karna ke tumhein woh milay jis ko tum se mohabbat ho, kyunke chahne se chahe jaane ka ehsaas zyada behtar hota hai.

Want your business to be the top-listed Beauty Salon in Nashik?
Click here to claim your Sponsored Listing.

Category

Website

Address


Trimbakeshwar Road
Nashik